Kabhi Dil Ke Kareeb, Tumhe Mere Naseeb
Yun Laayenge Socha Na Tha
Ek Chahat Ka Pal, Sab Savalon Ka Haal
Yun Paayenge Socha Na Tha
Kabhi Dil Ke Kareeb
_________________________________________________________________
Faasile aise bhi honge ye kabhi socha na tha
Saamane baitha tha mere aur wo mera na tha
Wo ki khushbu ki tarah phaila tha mere chaarsu
Mai use mahasoos kar sakta tha chhu sakta na tha
Raat bhar us ki hi aahat kaan mein aati rahi
Jhaank kar dekha gali mein koi bhi aaya na tha
Aks to maujood the par aks tanahaai ke the
Aaeena to tha magar us mein tera chehra na tha
Aaj us ne dard bhi apne alhadaa kar diye
Aaj mai roya to mere saath wo roya na tha
Ye sabhi veeraaniyaan us ke juda hone se thee'n
Aankh dhundhalaai hui thi shahar dhundhalaaya na tha
Yaad karke aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
Bhool jaane ke siwa ab koi bhi chaara na tha
___________________________________________
These lines are from one of the ghazal of Gulam Ali Sahab.I likes the lines immensely.
No comments:
Post a Comment